RAMAZAN KE AAKHIRI JUMAH ME 4 RAKAAT NAFIL 700 SAAL QAZA NAMAZO KA KAFFARAH KAISE..??!!

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saehb,
Ye Neeche Wale Msg ke Bare me rahnumayi farmaye to Maherban hogi.

“QAZA NAMAZ ADA KRNE KA MAUQA.

Irshad – e -Nabvi (S.A.W.W) hay k Jis shakhs ki Namazain Qaza hui hon or taadad Maloom na ho,To woh “Ramzan ke Aakhri Juma” ke din

4 Rakat nafal 1 salam k sath parhay,

Har rakat main “Surah Fatiha” ke baad “Ayatul- kursi 7 baar”
“Surah Kauser 15 baar” parhay,

Agar 700 saal ki namazain bhi Qaza hoi hon to is ke kufaray k liye ye “Namaz” kafi hai.
PLz Ye msg abhi sy send krna shuro kr do ta k (Aakhri Juma sey pehle) ye “Qeemti Tohfa’ har kisi ko mil jaye.
Talib-e-Dua.” …..??????!!!!!!
(Syed Imran Ali),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
Namaz Ek aysi Azeem Ibadat hai,Jo Bandeh ko Rabb se Qareeb karti hai,jiske Bare me Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Namaz Momineen ki Meraj hai.
Aur ek Doosre Maqam me farmaya :Wazu Namaz ki Kunji hai,aur Namaz Jannat ki Kunji(Key) hai,
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :2)
Namaz ke Awqaat(Time) Muqarrar hai,Waqt me padhle to usko “ADA” kahte hai,agar waqt je Alawah me padhe to usko “QAZA” kahte hain,
(Tavzeeh,Vol/1,Pg/56),
Ab Jab kisi ki Namaze Choot jaye to Usko Baad me padhne ka hukm diya gaya hai,jisko Qaza se tabeer karte hai,koi Namaz ki Rakaat me kisi bhi Tarah ki Kami Nahi hogi,Fajar ki 2 farz Chooti hain,to Qaza me bhi 2 Rakat padhna Zaroori hai,agar ek bhi Rakat kam hojaye to Qaza Namaz bhi poori Nahi hogi,
Lehaza Ab is Mag me Jo Ramazan ke Aakhiri Jumah me 4 Rakaat Nafil Tamam Chooti huvi Namazo ke Qaza ki Niyyat se Padh le to Kaafi hai,Kahna BILKUL GHALAT HAI,ISKA ISLAMI AHKAMAAT SE ZARRAH BHI BARABAR TA’ALLUQ NAHI HAI,
Kyu ke Ahadees e Shareefah me Namaz Choot jaye to Uske Kaffareh me Uski jitni Rakaate hai,usko Qaza ki Niyyat se padhne me hi hai,bataya gaya hai,Sahi Bukhari me Aya hai,ke :
Hazrat Anas bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai, kaha,Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya :Jo Namaz padhna Bhool jaye(Yani Namaz Choot jaye) to Jab Usko Chooti huvi Namaze Yaad Aajaye to Wo Usko Padhle kyu ke Un Namazo ka wahi Kaffarah hai,uske Siva koi Doosre Kaffarah Nahi.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,597),
Aur Ye 4 Rakaat Kisi Sahaba e kiram(raziyallahuanhum) se bhi sabit Nahi hai,
Kyu ke Yavm e Khandaq ke Din Hazrat Omer Farooq(raziyallahuanhu) ke Asar ki Namaz Choot gayi to Aapne “Maqam Bathan” me Sooraj Doobne ke Baad Maghrib ki Namaz se pahle Asar ki Namaz ki qaza farmayi phir Baad me Maghrib ki Namaz ada farmayi.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :598),Jab Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) aur Sahaba e Kiram Bataur e taleeme Ummat Apni Namazo ki Qaza farmayi to Ye 4 Rakaat Padh kar Ummati kise Apni Chooti Huvi Namazo se Bariuzzimmah hosakta hai,Hargiz Nahi ye Haqeeqi Musalman ke Banaye huve Msg Nahi rahte hain Balke Eisayi wa Yahoodi Missionaries is ko Bana kar send karti hai,jis se Hamare Muslaman Mard,Aurat Nawjawan wa Boodhe sab Muntashir hojate hai,to aysi Baato se Mahfooz rahe aur apni Chooti huvi Namazo ka Calculate(Hisab) kare aur unki Qaza karle to Insha Allah uska Behter Ajr Akhirat me zaroor milega.
Written By :
*Mufti Rahmatullah Qadri,*
(Founder :Tanzeeme Anwaarulislam,India),
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like