ROZEH KA FIDYAH IMAM KO DENA ?

Sawal :Assala mu alaikum mufti sahab ek shaks roze na frakne ka fidya ek masjid k imam ko dena chata ho aur masjid k imam sahab sadat ho to kya aise imam ko ye fidye ki raqm dena jaiz hai ?

Imam sahab syed hai ?
(Syed Aqeel)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Jo Shaks Beemari ya kamzori ki wajah se Rozah Na Rakh sakta ho to wo Apne Rozeh ka Fidyah Kisi Miskeen(Jo Ghareeb wa Mohtaj ho,uske paas Khane keliye Ghiza aur rahne keliye Ghar Na ho) ko Dena wajib hai,
Syed Imam Saheb ko ye Fidyah Nahi de sakte hain,kyu ke Sadqaat e wajibah me shumar hota hai,
Haan,Agar imam saheb Syed(Sadaat) Me se Na ho aur wo Miskeen ho to ab inko Wo Fidyah de sakte hain.
(Al Quran,Surah Baqarah,Ayat :184).
Plz…share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like