DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 420,Hadees No :2080,

Hazrat Ayisha Siddiqah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) Tohfah Qubool farmaya karte aur Doosro ko Tofeh Diya bhi karte.
(Vol/2,Hadees No :2080),
Dars :Islami Sunahre Har Usool me koi Na Koi Himat zaroor hoti hai,aur Usne faideh bhi Bando ko Dunya me aur Akhirat me Naseeb hote hai,
Unhi Usool me se Tohfah Dena bhi hai,
Tofah dene se Apas me Mohabbat Paida hoti hai,kyu ke ek doosri Hadees me aya hai,ke jisme Aap Sallallahualihiwasallam ne farmaya :Tofah Do,aur Mohabbat Pavo.
(Zujajatul Masabeeh,Vol/4),
●● Zabardasti Tofah dena aur Dawato me agar koi Tofah Na de to un se Na raaz hona ye Islami Taleemat ke khilaf hai,Dawat ek Taqreeb hai,us se Tofeh ki Tawaqqu Nahi rakhna chahiye,
Haan,Jo Tofah liye ho to unko bhi ye Baat zahen me Rakhni Chahiye ke Jaha Tofah lena Sunnat hai,Wahi Tofah Dena bhi SUNNAT hai,
Allah Hame Tohfah lene wa Dene wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like