DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 419,Hadees No :2079,

 

Hazrat Saeed Bin Aas(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Walid Apne Awlaad ki Sahi Tarbiyat karta hai,to wo Sahi Tarbiyat Saare Sadqo se Afzal hoti hai.
(Vol/2,Hadees No :2079),
Dars : Deen e islam me Har maqam wa Marhaleh me Chand Maqsoos Ahkamaat Bando per Lazim kiye gaye hai,aur uske karne me hi Bandeh ko 2 jahan ka faidah Hasil hota hai,to unhi Ahkamaat me se ek Ahem hukm : Bacho ki Seekhne ki Umer me Sahi Tarbiyat,Aala Adab wa Ache Akhlaaq se Aarastah karna hai,Jo Sadqeh jaise Afzal ibadat se bhi Aala hoti hai,
Jis se Adab sikhlane wale ko Qadam qadam per Sadqah dene ka Sawab milta hai,
■■ Walidain agar Awlaad ki Sahi Tarbiyat kare to uska Nateejah wo Apne Zindagi ke Har Lamhe me payenge Bus Thodi Tawajjuh ki zaroorat hoti hai,
●● Awlaad ki Sahi Tarbiyat keliye Sabse Pahle Ghar ka Mahol aur Hum jaha rahte hain,waha ka Acha Mahol ho to Achi Tarbiyat keliye wo bhi ziyadah Asar Andaz sabit hota hai,
Agar Mahol Sahi Na ho phir tarbiyat karne lage to isme Bohat kam log hi kamiyabi Hasil karte hain.
Allah hame aur Hamari Awlaad ko Ba Akhlaaq banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like