DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER,SALAH,DAY :161

HAZRAT ABU QATADAH(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasoole Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya :

jab iqamat kahi jaye to khade mat ho,balke jab tak tum mujhe nahi dekh lete tab tak khade na ho.

(vol/1,H,No :595),

Dars : malum huva ke iqamat me imam se pahle khade nahi hona hai,

is masleh me mulla Ali qaari rahmatullahialih ne apni kitab mirqat me likhe hai,ke sunnat ye hai,ke iqamat me jab HAYYA ALAS SALAH per pahonchte hai,to tab khade hona hai,aur isko baaz ulama ne mustahab bhi kaha hai.

 

 

 

You might also like