SAFAR KA MAHINAH KE BAAZ KHAYALAAT…?

Sawal : Assalamualaikum Mufti Sahab…ek sawaal tha ki
Bade log kehte hai ki Safar ke Mahine me Pareshaaniyan aur Musibate aati hai aur Naya kaam karna ya Nayi cheez khareedna Munasib nahi samajhte..
Yeh kaha tak Sahi hai..?
(Abdur Raheem),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Safar ke Mahineh(Month of safar) me Museebato wa mushkilo ka utarna ye koi Sahi Hadees se sabit Nahi hai,iska islam me koi Suboot bhi Nahi hai, aur isme koi Naya Kaam karsakte hai,aur Koi Cheez khareed bhi sakte hai,aur bech me sakte hai,Na khareedna aur Na Bechna ye Batil Khayal hai,kyu ke Pahle Zamaneh me Log is tarah ka Batil Khayalaat rakha karte the,to Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Is Mahineh me rakhe jane wale Batil khayalaat ko Radd(reject) farmaya hai.
حَدَّثَنَا بُنْدَارٌ حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ مَهْدِيٍّ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ عَنْ عُمَارَةَ بْنِ الْقَعْقَاعِ حَدَّثَنَا أَبُو زُرْعَةَ بْنُ عَمْرِو بْنِ جَرِيرٍ قَالَ: حَدَّثَنَا صَاحِبٌ لَنَا عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ قَالَ قَامَ فِينَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: ((لاَ يُعْدِي شَيْءٌ شَيْئًا)). فَقَالَ أَعْرَابِيٌّ يَا رَسُولَ اللَّهِ الْبَعِيرُ الْجَرِبُ الْحَشَفَةُ نُدْبِنُهُ فَيُجْرِبُ الإِبِلَ كُلَّهَا. فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((فَمَنْ أَجْرَبَ الأَوَّلَ لاَ عَدْوَى وَلاَ صَفَرَ خَلَقَ اللَّهُ كُلَّ نَفْسٍ وَكَتَبَ حَيَاتَهَا وَرِزْقَهَا وَمَصَائِبَهَا)).
(Jaimut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2293),
Aur farmaya ke Allah ne Saari Makhlooq ko paida farmaya aur uska Rizq wa zindagi,Museebate Sab kuch taqdeer me likh diya hai,ye Maheenah usme kuch Tabdeeli ya ziyadati Nahi karsakta hai,
Lehaza Ayse Batil khayalaat se hum sabko bachna Chahiye warna Eiman Kamzor hojayega..!!
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

 

?WRITTEN BY :-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

You might also like