DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 514,Hadees No :2280,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ka guzar Hamare paas se huva to Hum Taqdeer ke Bare me Bahes kar rahe the to Aap Sallallahualihiwasallam ne jab ye Suna to Aap ka Chahrah e Anwar Ghusseh se Laal(Red) huchuka tha,jaise koi Anar Nichoda ho,to phir Aapne farmaya : Kiya Tumko isi Bare me Hukm diya gaya hai ?! Aur kiya Mai isi liye bheja gaya hoon ?! Yaad Rahe :Tum se Pahle Wale Log Taqdeer ke Bare me Bahes karne ki wajah se hi Halak hogaye hai,to Mai tumko ye hukm deta hoon ke Taqdeer ke Bare me Bahes wa Jhagda mat karo.
(Vol/2,Hadees No :2280),
Dars : Har insaan ki taqdeer likhi ja chuki hai,lekin usko Nek kaam karne aur Bure kaam se rukne ka hukm diya gaya hai,Ab usko Nek Karte rahna hai,aur apne Aapko Khushqismat bana lena hai,warna Taqdeer me Bahes karte rahe to waqt bhi kharab hoga aur us se koi faidah hasil bhu na hoga Balke wo shaks Gumrah hojayega…
Allah hame Taqdeer per Kamik yaqeen rakhne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like