DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 792,Hadees No :2704,*

Hazrat Abu Hanzalah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Hanzalah Agar Tum Sab Jis Halat me mere paas rahte ho wahi Halat ko Hamesha Apna loge to Yaqeenan Fariahte Tum se tumhare Raasto,Mahfilo aur Majliso me aakar Musafaha(Shake Hand) karenge,lekin Aye Hanzalah Kabhi Kabhi kuch Lamhaath Bandah Raastah Bhool jata ha.
(Vol/2,Hadees,No :2704),
Dars : Allahu Akbar Kabeera…ye wo Haqeeqi Halat ki Nishandahi hai,jo aaj ham me Aksar payi jati hai,ke Hum Deeni,Zikri Wa ilmi Mahfilo me Hazir hokar kuch lamhaat to apne aapko Bohat Badalne aur Acha Ban ne ki koshish karte hai,lekin Baad me Apni Purani Halat per qayim rah jate hain,lekin agar hum wahi islahi kaifiyat per rahenge to Farishteh hamare ikram wa tazeem ki khatir hamare Raasto,Majliso aur Bistaro me aakar musafah karenge jis se hum per Hamesha Allah ki Rahmat Nazil hoti rahegi,
●● Baaz Awqaat Bandah apne Seedhe raasteh se bahek jata hai,to usko Sachi Taubah karke Sirate mustaqeem per qayim rahne ki koshish karni chahiye,jis me uske saath Allah ki bhi Madad shamil e Haal hojati hai.
Allah hame Har Haal me Eeimani Halat per hi qayim wa Dayim rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site ..
www.anwaarulislam.com.

You might also like