DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 791,Hadees No :2703,*

Hazrat Abu Hurairah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : jo Tum se Neeche ho unko Dekha karo aur Tum se Uper walo Mat dekho warna Tumhari Baaqi Nemate bhi choot jayengi.
(Vol/2,Hadees No :2703),
Dars : Is Dunya me Bandah Hamesha Kuch na kuch Hasil karne aur apne ko hamesha Buland rakhne ki fikar me hota hai,to wo usi fikar me apne paas jo Nemate hain,unko nazar andaz karne lag jata hai,is tarah usme Na Shukri paida hone lagti hai,to us se mahfooz hone keliye hamare Aaqa sallallahualihiwasallam ne ye taleem di ke hamesha apne se Neeche walo ko dekho to us se apne paas maujood nemato ki Ahmiyyat malum hogi aur Shukr guzari bhi ajayegi jis se bandah Mutmayin aur Rabb raazi hojata hai,
Aur Agar apne se Bade Mansab ya Maal etc..walo ko dekhoge to Na Shukri aur Khud per Mamooli wa Haqarat hogi jis se Bandah Ghair Mutmayin aur Rabb Na Raaz hojata hai,jis se uski Baaqi Nemate bhi cheen li jayengi isliye apne se Buland Mansab walo ko dekhne se roka gaya hai,taake Shukr wa Sabr dono ko thaam kar bandah kamiyab hojaye.
Allah hame Har Haal me khush rahne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like