SOCIAL MEDIA PER QURANI AYAT KA DELETE KARNA…?

Sawal :Assalmualaikum mufti shab ek sawal arz karna tha,,aaj kal msg aa rhe hai ki Quran ki ayat vale msg send na kro kyuki usme quran ki ayat delete ho skti to iski haqiqat bataiye kya sahi ne quran ki ayat vale msg ko forward naa kare yaa ye bs farzi msg hai ?
(Rehan Raza ),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
Quran e Kareem Allah ka Kalam hai,ye Kabhi mitne wa Khatam hone wala Kalam Nahi hai,to jaha tak social media ki baat hai,wo Deen ki tableegh karne ka Behtreen Platform hai,Uske zariye Qurani Msgs se logo ko deeni taleem sikhayi ja sakti hai,aur us se Deeni khidmat karna bhi chahiye,Ab Rahi Baat Qurani ayat ka mitna Ye sahi Nahi hai,kyu ke Agar Quran Kaghaz per bhi likhe to wo ek Na ek din mit hi jayega aur msg me delete hone me Be Hurmati us waqt lazim ati hai,jabke Bandeh ke zahen me us tarah ka Bura khayal ho lekin aysa Nahi hota hai,balke Zaroorat ke lehaz se usko Folder,etc..se nikal dena kahenge,usko khatam karna Nahi..
Ye Farz msg hote hai,taake musalmano ko social media me deen ka kaam karne se Roka jaye..
Yaad rahe ke Deen e islam ek Aasan Mazhab hai,
(Sahi Bukhari,Vol/1)
isko Apne Zahen se Mushkil Mat banalo,Warna us per aapko hi Chalna Mushkil hojayega..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like