DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 442,Hadees No :2110,

Hazrat Mughirah Bin Shobah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Murdo(Marhoomeen) ko Gali Mat do,jis se Zindah Logo ko Takleef hoti hai.
(Vol/2,H,No :2110),
Dars :Deen e islam Zuban ki Buri Baato se hifazat karne Hamesha Taleem deta hai,Kyu ke Zuban ka Asar Dil per karta hai,aur wo Barso apna zakhm Baaqi rakhta hai,jus se apas me ekhtelaf baaqi rah jata hai,Lehaza Buri Baato se zuban ki hifazat zaroori hai,
●● Gali(Buri Baat) Na Murdo ko dena hai,aur Na hi zindo ko jis se insaan apne Waqar ko khodeta hai,
●● Walidain aur Bade log Bacho ke Saamne Buri Baat kabhi bhi Nahi kahni chahiye Jis se Bacho ki Tarbiyat me Bada farq ajata hai,aur Bache bhi Buri Baate seekh lete hain,Sahi Tarbiyat keliye Acha Mahol bhi dena zaroori Hai,
Allah hame Buri Baate kahne se mahfooz kare…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like