DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 443,Hadees No :2111,

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Musalman ko Buri Baat(Gali etc..) kahna “FISQ”(Kabeerah Gunah) hai,aur Usko Qatl karna “KUFR” hai.
(Vol/2,Hadees No :2111),
Dars : Jab Insaan Deen e islam se wabastah Nahi hota hai,to usko apni hi Haqeeqat pata Nahi hoti hai,aur us per koi Hukm bhi Nahi lagaya jata hai,lekin jaise hi wo Insaan *DEEN E ISLAM* me dakhil hota hai,to usko Izzato wa Rifato ki zindagi Naseeb hoti hai,
Mard Ba Waqar,Aurat Ba Hijab hojati hai,aur Bacho wa Budho per Rahmat wa Shafaqqat ki har taraf se Barish hoti hai,jis se Musalman islam me Apni Haqeeqat ko samajhne lagta hai,isliye Deen e islam ne kisi musalman aur doosro ko bhi Gali dene se roka hai,aur kisi musalman ko Qatl karne ko Kufr bhi kaha hai,
■■ Aaj kal Har choti Baato per Gali Galoch ham me Aam hoti ja rahi hai,
Chote Bacho ki ladayi ho,Ya Mohalle me koi chota sa jhagda huva ho,koi Hamari Bike se aage nikal jaye ya hamari koi Baat Na mane etc..etc…Jaan bujhnkar ho ya Mazaq se hi Choti Choti Baato per Doosro ko bura kahte ja rahe hai,
●● Kuch Paiso keliye Bete ka Baap ko Qatl karna,aur kisi Ladki ke Chakkar me Maa ka Ghala ghotke Maar dena ye 2 bhi waqiyeh Haal hi me huve hain,aur Gharelo wa Jaidadi ladayiyo me ek Bhai ka doosre Bhai ko Qatl karna,ek dost keliye doosre dost ko Jaan se Mardena etc..etc.. aaj kal Aam hota jaraha hai,Afsos ye ke Qatl karke log apne Aapko Bahadur Samajhte hai,lekin unko Pata hi Nahi hai,ke unke Hisseh me Jahannam likh digayi hai,aur unke Naslo me Ruswayi…Allahu Akbar Kabeera..
ye sab Deeni Taleem wa Akhlaaq e Islam se doori ka Nateejah hai,Hame jitna jaldi hosake Deeni Taleem wa islami Tahzeeb ko apnana hoga warna Hamare Hisseh me ZILLAT ke siva aur kuch Nahi hogi..
Allah hamari hifazat kare..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like