TAAQ RAATO ME 21 BAAR SURAH QADR PADHNE KA MSG SAHI HAI ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Ye Neeche Bataya gaya huva Msg kaha tak sahi hai ?Rahnumayi farmaye,
“21,23,25,27,29 Ramzan, ki Raat ko, Magrib ki Namaz ky Bad, 21 Martaba, “Surah.e.QADAR”
Parho.
Poory Sal RIZQ, Apky pechay is tarha se Doray Ga, jesy Pani, Nashaib ki taraf Dorta hy..
Inshaallh Tallah..
Sub ko batain, koi Mehroom na rahy jay. . Eiltams e dua???????
(Mohd Ameeruddin Khan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Surah Qadr ke Tilawat ki Badi fazeelat ayi hai,Magar kisi Sahi Hadees me Ye Taaq Raato me Sureh Qadr ki 21 Martabah Tilawat ka zikr Nahi aya hai,aur Na hi ye Rizq ke Barkat ke Bare me is tarah ki koi sahi hadees Nahi hai,
Haan,Rizq ke Be Hisab Barkat hone ke Bare me Quran me is tarah aya hai,ke :
” JO ALLAH SE DARTA HAI,TO ALLAH USKE LIYE RIZQ KE DARWAZEH KHOL DETA HAI,AUR USKO ITNA RIZQ DETA HAI,KE USKA HISAB BHI NAHI KARSAKTA HAI”
(Al Quran,Surah :Talaq,Ayat :2,3),
To khulasah ye ke Uper ka Msg aage farward mat karo.
Written By :
Mufti Rahmatullah Qadri,
(Founder :Tanzeeme Anwaarulislam,india),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like