DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER :HAJJ DAY :170,

 

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Hajj aur Umrah Karte raho,Kyu ke wo Dono Ghareebi aur Gunah ko is tarah khatam kardete hain,jaise Bhatti Loha,Sona(Gold) aur Chandi(silver) se uske Zang ko Door kardeti hai,aur Hajj e Maqbool ka Sawab to “JANNAT ” hi hai.
(Vol/1,H,No:815,),
Dars : Is Saal (1437 # 2016) Jo Bhi Momin Bhai aur Bhane Hajj ka iradah kiye Hai,Allah unko Aasani ata kare,aur unke Hajj ko Qubool kare..Ameen.
Kyu ke jiska Hajj qubool hota hai,to Allah usko Jannat Ata karta hai,

■■ jo Bandeh Apna Hajj Ya Umrah ek baar ada karle to Hajj ka farz ada hogaya,aur Umrah bhi to ab baad me jitne bhi Hajj ya Umreh karega to wo “NAFIL” hi honge,

☆☆ Hajj aur Umrah karte raho ka Matlab ye hai apne saare Huqooqul ibad ada kare aur Asbaab bhi ban jaye to Tab ye Kare to ziyadah behter hai,
kyu ke Aaj Hajj ya Umrah karne me jitna paisa kharch hota hai,wo kisi Ghareeb ki Beti ki Shadi,Kisi Bewa khatoon ke Bhooke Baccho ke peth bharne ke kaam ajaye,ya Ghareeb musalmano ki taleem me kharch ho to ziyadah behter hai,
Kyu ke inki Madad Karna bhi Ameer Musalman per zaroori hai,warna Us se is bare me sawal zaroor kiya jayega aur ek Baar Hajj karlene ke baad phir kyu Nahi kiya iske bare me Nahi sawal kiya jayega..
Allahu Akbar Kabeera…

You might also like