TASVEER AUR NAMAZ ?

Sawal : Assalamu Alaykum Mufti sahab
Ek mas’alah ka javab bataiye.
Jandar ki taswir khichna khichvana aur ghar me lagana kaisa hai.
Qur’an aur hadis ki roshni me javab ata farmae.
(Muslim Salonki),

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
Deen e islam me Jandar chahe insaan ho ya koi Janwar uski Tasveer utarna aur Utarvana Mana hai,aur us tasveer ko ghar me latkana Bhi Mana hai,isiliye Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) ko Tasveer wale Pardeh ko Nikalne ka hukm sadir farmaya,
«374» حَدَّثَنَا أَبُو مَعْمَرٍ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَمْرٍو قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ صُهَيْبٍ عَنْ أَنَسٍ كَانَ قِرَامٌ لِعَائِشَةَ سَتَرَتْ بِهِ جَانِبَ بَيْتِهَا فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((أَمِيطِي عَنَّا قِرَامَكِ هَذَا، فَإِنَّهُ لاَ تَزَالُ تَصَاوِيرُهُ تَعْرِضُ فِي صَلاَتِي)).
[,Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :374),
Haan,Ab Rahi Camreh ki image usme Ulama e kiram ka ekhtelaf hai,Baaz ne uski ijazat di hai,aur Baaz ne usko bhi Haath se utari jane wali tasveer per qiyas karke Mana kiye hain.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like