DARSE JAMIUT TIRMIZI. CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 542,Hadees No :2335,

 

Hazrat Abu Waqid Laisi (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Jab Hum Jange Khaibar keliye Ravana huve to Hamara Guzar Mushrikeen ke Ek Darakht ke Paas se huva jo wo Har Jang se Pahle ya Kisi Kaam me kamiyabi keliye us Darakht ke paas jate aur Apni Tavare aur Dooari Cheeze lat kaya karte(Hanging) jis Darakht ko”ZAATU ANWAAT” ke Naam se pukarte,to Ham me se kisi ne Kaha Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Hamare liye bhi us tarah ka Darakht hota to kaisa hota ? To
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Qiyamat ke Qareeb Apne Pahle Walo ki Baato Wa Tareeqo per Hi Amal karoge.
(Vol/2,Hadees No :2335),
Dars : Qiyamat ke Qareeb Deeni Ahkamaat ko Chod kar Pahle walo ki Baato aur Apne Zaati Mafad wa Faido ko Nazar me rakhte huve Purani Baato per Amal lagenge,jo Deen se Dooori ka Nateejah hoga,aur Har Baat per Logic ko dekhte huve Shareeat ko chod denge,jo aaj kal Ziyadah horaha hai,
Haan,Jo Pahle Wale Buzrug Hazrat Agar Deen ki Baate Bataye to us Per Amal karna hai,aur jo Deen se alag ho to usko Chod dena hai.
■■ Darakhto per Saman etc..latkana aur Us darakht se Murado ka poora hone ka Aqeedah Rakhna Islami Taleemat me se Nahi hai,kyu ke Sabki Murado ko Poora karne Wala Allah hai,ye Darakhto per Hall Tickets Lagane se Na Exam kamiyab honge aur Na hi Jhado(Tree) per Choodiya lagane se ladkiyo ki Shadiya hongi,Balke Mehnat phir Dua se Har Maidan me kamiyabi milegi,aur Rishtah Taqdeer me jab aur jis se hona hai,wo hokar hi rahega..Insha Allah..
Allah hame Deen ko Sahi Samajh kar Amal karne ki taufeeq ata farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like