THIRD MOON OF MONTH KO DEKHNE SE ?

Sawal :Asslamualikum mufti sahaab mere sawaal ye tha ki kya TEEESRA CHAND YANI third moon dekhey se kuch pareshani yaan ati hai monhoosiyat ati hai phir teesrey chand ki kahani sunaaa bolker boltey gharper kya sahi hai sharaai taur par bataye ga barayekaram maherbani hogi.
(md sadiq)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..Mahine ka Teesra Chand(Third Moon of Month) Ko Dekhne se Koi Nahoosat Nahi aati hai,kyu ke 1,2 aur Teesre Chand ko HILAL ke Naam se Arabi Zuban me kahte hai,to ye to Allah ki Banayi Huvi Makhlooq hai,to ye Chand Allah ke Hukm se hi roushni deta hai,Aur usi ke Hukm Se Roushan hota hai,aur Doob jata hai,to Nafa wa Noqsan,Barkat aur Barkat Ka Na hona yani Saari cheeze Allah ki Qudrat me hai,Teesre chand ko dekhne se Iflaasi aur pareshani ka aana kahna ye Eiman ki kamzori aur Deeni Taleemat se doori ka Nateejah hai,ye saare Batil Aqeedeh Ghair Muslimo ke hai,jo Bad Qismati se Musalmano me bhi Aarahe hai,hame chahiye ke in Batil Khayalo aur Aqaayid se mahfooz rahe aur apne Ghar walo ko bhi us se Door rakhe,Jab ke HILAL(chand) ke bare me Quran me aya hai,ke..Aye Nabi(sallallahualihiwasallam) wo(Yahood wo Nasara) tum se HILAL ke bare me sawalaat karenge to Aap un se kah dijiye ke :WO (HILAL) TO LOGO AUR HAJJ KE AWQAAT BATANE KA ZARIYAH HAI…
(Al Quran,Surah:Baqarah,ayat :189),
Note :Dunya ki koi cheez us waqt tak Asar Nahi karsakti Jab tak ke Allah usme wo Asar paida Na karde..

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like