DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER:SALAH(SAFAR), DAY:153,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ke saath mai Safar me tha,to jab Zohar ki Namaz ada farmaye to Farz 2 Rakaat Ada farmaye,phir Farz ke Baad 2 Rakaat(Sunnat) bhi ada farmaye.
(Vol/1,H,No:554),
Dars:Hazraat,is Hadees e Paak se maloom huva ke Safar me Farz Namaz ke Baad Sunnate bhi ada karna hai,usko chodna aur uski Maaf Nahi hai,kyu ke
●● aksar logo ke zahno me ye hai,ke Safar me Farz Namaz hi 4 Rakaat se 2 Hoti hai,to Sunnate to Safar me Maaf hi hai !!
To ye Khayal aur Qaul Sahi Nahi hai,
Haan,agar Safar me waqt Na ho,Gadi nikalne ka Darr etc..ho to Ab Sirf Farz namaz padhlena Kaafi hai.
Note:Safar ki Namaz ke bare me kayi Burning topics hai,insha Allah aage wazahat hogi
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like