TILAWATE QURAN AUR BAAT CHEET **

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Agar quran padh rahy hai to padhte padhte agr kisi ky sath koi baat kr ly choti sy ya koi sawal krta hai to us ka jawab dy dety hai to us ke bry mea kya hukm hai ?
(Mohammed Islam),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Quran padhte zaroori Baat ho to jitni baat karna ho utni hi baat karne ki ijazat hai,zaroori jawab ya kisi ko kisi baat se Aagah karna ho to wo bhi karsakte hai,aur jab phir se quran padhne lage to AWUZUBILLAHI MINASH SHAITANIR RAJEEM..padh kar shuru kare,
Haan,Baat zaroori Na ho ayse hi Aam baat ho ya uu baat ko Baad me bhi karsakte ho to aysi Baat karne wala aur Sun ne wala dono Gunahgaar honge,kyu ke is se Tilawate quran ki Be adab lazim aati hai,aur Tilawat ki lazzat se mahroom bhi hote hai.
(Tohafat ul Huffaz,Vol/1)

You might also like