DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 237,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :
Jab Momin bandeh Ka inteqal hojaye aur Us per Logo ka Qarz(Loan) Baaqi ho to Uska Dil Uske Qarz se hi Latka huva hota hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :1099),
Dars : Qarz ada karna Huqooqul ibaad me se hai,jo Bandah huqooqul ibad ada Na kare to Allah usko Maaf Nahi karega,
Aur log samajhte hai,ke Qarz dene me taal matol kare aur Ghayib hokar Qarz se bachenge,lekin aysa Nahi hai,uske Marne ke Baad bhi wo Qarz uska saath nahi chod ta hai,Jab tak uska qarz ada nahi karenge uski Rooh ko Rahat Nahi milegi,
■■ Qiyamat me Uske Qarz ke Badleh Uski Nekiya Leli jayengi aur Jo Qarz diya tha uske Naam e Aamal me daal di jayengi,
●●Awlaad ko chahiye ke apne Marhoom Walidain ka agar Qarz baaqi ho to usko pahle Ada kare Baad me Hissah Baati kare to sab keliye faidahh mand hai,
Allah hame qarz lene se mahfooz kare,aur agar majboori me lena pade to usko ada karne ki Taufeeq ata kare…Ameen.

You might also like