* ZAKAT KE MAAL SE IFTAR PARTY ? *

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz log Zakat ke Maal se iftar party karte hai,to usme Ameer wa Ghareeb sab Shareek hote hai to kiya ayse zakat ada karne ka kiya hukm hai ?
(Mohammed Tanveer),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar koi shaks apni zakat iftar ki dawat me Ghareebo ko shareek karke Unko khana khilaye aur unki apni taqat ke muvafaq madad kare to uski ijazat hai,aur uska fareezaj e zakat ki adayegi bhi poori hojayegi,
Haan,agar zakat ke paiso se ki jane wali Dawat e iftar me Ameer aur Ghareeb sab shareek hojaye ye aksar Ameer aur Sahib e Nisab log hi shareek ho to ub us shaks ki zakat ada na hogi kyu ke
“Zakat aur Sadqah Sirf Ghareeb ka hi Haq hota hai.”
(Al Quran,Vol/10,Surah :Taubah),
To is Maal me Ameer shareek ho to is tareeqeh se zakat dena Sahi nahi hai.kyu ke ab ye Zakat Ghareeb ko Nahi Balke Ameer logo ko Dena lazim ayegi aur jo aysi zakat dega to uski Zakat hi Qubool na hogi.
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/73).
Note:Behter ye hai ke Ghareeb ko Paiso ki Shakal me zakaat de to ziyadah munasib hoga take wo apni zarooriyat ko apne andaz se poora kare…

You might also like