WAQT SE PAHLE ZAKAT,AUR…?

Sawal : Assalam alykum mufti saab Khairyat se hai?
1.zakat Ramadan se pahle adaa kar sakte?
2. Ghareeb ladki ki shadi me zakat de sakte?
3. Hamari Waalida ke chicha zaat ya khaala zaat bahen ko zakat adaa karsakte?
Jazakallah for information provided
Assalam alykum
(Shakeel Mohammed),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..Alhamdulillah,
1) Nisab wale Maal per agar 1 Saal(year) guzar jaye to Zakat dena wajib hojata hai,ab wo kabhi bhi saal mukammal hosakta hai,Ramazan se pahle ya Ramazan ke baad,to Zakat Ramazan se pahle bhi desakte hain,
(Al Hidayah,Vol/1),
Aur yaad rahe ke jo Waqt se pahle yani Saal guzarne se pahle bhi zakat de to zakat ada hojati hai,
2) Agar Ghareeb ladki ke ghar wale Waqayi ghareeb ho aur unke paas ghar etc..Na ho to ghareeb ladki ki shadi me zakat ke paise de sakte hai,
(Kitabul Asl Lil Imam Mohammed*rahmatullahialih)
3) Chacha Zaad ya Khala zaad bhai ya Bahen ko Zakat de sakte hain,
(Sharh ul wiayah,Vol/1)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like