RAMAZAN KI KHUSHKHABRI DENA KISA HAI ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb kiya msg sahi hai

????????
Ramzan 26 MAY ko shuru hoga. Inshallah| payre nabi nai farmaya jo ramzan ki khabr sabse pehle kisi ko de usske liye jahannum ki aag haraam hai. Aap bhi kisi ko bol do taaki aap bhi jahannum ki aag se aazad ho jaye ?
(Mohammed khaleel)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Ye Msg jisme ”
Ramazan ki khushkhabri dene wale per Jahannam ki Aag Haram hoti hai”
“Yaqeenan SAHI NAHI HAI,AUR YE KISI BHI HADEES SE SABIT NAHI HAI,YE JHOOT HAI”
Allah ke waasteh Ayse msgs Doosro ko forward mat kariye Warna aap bhi Jhoot pahlane walo aur Jhooto ka saath dene Walo me se Shumar kiye javoge,Jhoot kahne aur Jhoot ka saath dene wale Dono per Allah ki Lanat hoti hai,
(Al Quran,Vol/6,Surah Maidah),
Note : Deen e Islam Ramazan ke Mahinah me Khush Amali(Nek Kaam) ki Taleem deta hai,Khushkhbri dene ki taleem Hargiz Nahi deta,Kalam se Kaam pe tawajjuh dilata hai,
Ummate Mohammadiyah Kaam karne wali Qaum hai,Sirf Kalam pe iktefa karne wali Nahi….!!!!
Lehaza Khushkhabriyo se ziyadah Behter Kaam per tawajjuh de to aane wali Naslo keliye bhi dars hasil hoga…

Aapka Mukhlis..
*MUFTI RAHMATULLAH QADRI*
Plz..visit for more..anwaarulislam,com

You might also like