DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 374,

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) se maine sawal kiya ke Aamal me Sabse Ziyadah Fazilat wala Amal kaunsa Hai ?
To Aapne farmaya : Namaz Uske Waqt per Ada karna ,Maine phir sawal kiya aur kounsa Amal ? To aapne Farmaya :Walidain ke Saath Acha Sulook karna ,Maine Arz kiya aur kaunsa ? To aapne farmaya :Allah ke Raasteh me Mujahadah(Jihad,Mehnat) karna hai,ravi ne kaha phir mai khamoosh hogaya agar aur Sawal karta to aap mujhe zaroor bata dete .
(Vol/2,H,No :2019),
Dars : Afzal wale Aamal me se ..:
■■ Namaz waqt per Ada karne ka matlab Baghair kisi wajah ke Namaz ki qaza Nahi karni chahiye,Waqt per Namaz padhne ko hi ada kahte hai,waqt guzar jaye to Qaza,Jaha bhi ho agar azaan hojaye to Masjid ho to Masjid me agar Masjid Na ho to Zameen per hi Namaz padh lena kaafi hai,kyu ke Ummate Mohammadiyah keliye Saari Zameen hi Masjid hai,
Hadees me Aata hai,ke Jo Baghair kisi Sabab ke Namaz waqt per Nahi padhta aur uski qaza baad me karta hai,to Usko 500 Saal(years) Jahannam ki aag me jalaya jata hai,Allahu Akbar Kabeera…
Jab Bgahir Sabab ke Namaz ki qaza kare to ye Ajnam hai,to phir jo Namaz hi Na padhte ho to unki saza ka Aalam kiya hoga….!!!!
●● Walidain ke Saath :Walidain ko Shareeat me “UFF” kahne ka bhi hukm Nahi hai,Ulama ne likha hai,ke :Ye Uff ka lafz arabic Lafz Nahi hai,balke ye ek aysa lafz hai,jo Insaan ki zuban se baghair iradeh ke nikalta hai,to walidain ke saamne aysa LafZ Nikalne ki bhi ijazat Nahi hai,
Yaad Rahe Walidain ki khidmat me Awlaad ki Jannat chupi huvi hoti hai,ab usko Hasil karna Awlaad ke zimmah hai,
■■ Allah ke Raasteh me Mujahadah :
Allah ke Deen keliye Apne Maal,Jaan,Shaan aur Waqt ko qurban dene ka Naam hai,jo har musalman ke zimmah hota hai.
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like