10 MOHARRAM KO NACHNE WALO KO SHARBAT

Sawal;Assalamualikum,Mufti Sahab,
Hamare Gav me 10 Tarikh Moharam Ki Ko Tajiya Nikalta Hai Jisme Bada Logo Ka Hujum Lagta Hai
Is Par Sabhi Log Waha Nachte Hai Dhol Tase Bajate Hai
To Mera Sawal Yehi Hai Ki Kya Un Logo Ko Hum Hazrat Imam Hussain Radi Allahu Anhu Ki Niyaj Thanda Pani pilana Jayaj Hai Ya Nahi?(MUSLIM Salonki),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
10 Moharram me Taziye(Alam,etc..) me naachne walo ko Sharbat Na Pilaye to ziyadah behter hai,kyu ke taziye jayiz nahi hai, us se un logo ki aur bhi nacne me himmat hojati hai,aur wo us se apne aapko Ba Izzat mahsoos karne lagenge,aur is se gunah per Madad karna lazim ayga,aur gunah karne wale ka saath dena bhi Gunah karne ke bara bar hai,
(Al Quran,Surah:Naba :Maidah;2)
jabke Is Din Nachna Dhol etc..bajana kahi se sabit Nahi hai,aur ye islami Taleemat ke bilkul khilaf hai,agar unko nazar andaz kiya jaye to unko ghalati ka ehsaas paida hoga.
Haan..Ghareebo aur miskeeno ko Khana khilavo aur sharbat pulavo jo uske haqdar hai,bohat acha Amal hai.
Plz…Share it to All,For islamic Service

You might also like