VITAR KI 3 RAKAT KA TAREEQAH

                        

■ Pahli Rakat me Fateha ke baad zammah surah Yani Jo Surah Yaad ho wo padhe,phir ruku wa 2 sajdo ke baad
■ Doosri Rakat me bhi Surah Fateha aur jo surah yaad ho wo padhe,uske Baad Ruku 2 sajdo aur Qadah me Tashahhud padh kar khade hojaye phir
■ Teesri Rakat me Surah Fateha ke Baad phir koi surah jo yaad ho wo padhe surah ke baad Allahu Akber kahte huve 2 Haat kaano tak utha kar phir Haath Bandh le aur DUA E QUNOOT padhe..ALLAHUMMA INNA NASTA EENUKA……akhir tak..
Phir ruku wa sajdo ke baad Qadah me Tashahhud,Duroode Ibrahim aur Dau e Masoorah padh kar salam pherle..
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/30..50).
● Note :Vitar ki Namaz me Dua e Qunoot padhna Wajib hai,agar ye choot jaye to Sajdah e Sahoo wajib hota hai.
(Ye tareeqah Hanafi Mazhab ke lehaz se hai)

You might also like