USNE AYSA KYU KIYA ? !

wo Rozanah ki tarah aaj ki subah bhi park me chahel qadami ke iradeh se ghar se nikla,saath me suitwr aur mafler kyu ke wo sakht garmiyo ke din the,,aur park ke rasteh ki taraf chal raha tha,wo aage badh raha hi tha ke ek karahne ki awaz ne usko aage badhne nahi diya ,usne soncha ke yaha se kis ki awaz aasakti hai,ye kahte huve phir aage badhne laga,lekin phir uska dil awaz ko sunte hi bechain hone laga to phir usne usi maqam per ruk gaya aur jis jagah se awaz aarahi thi dekh raha tha,wo awaz ki simt badhne laga……jaise jaise wo aage badh raha tha,usko yaqeen nahi ho paraha tha,lekin na chahte huve bhi usne waha nigah dali to Hairan rah gaya ke SADAK KE KINAREH PER SAKHT SARDIYO KE DINO ME GANDEH NALE ME EK BOODHI MAA JO 70 SAAL KI THI BAREEK KAPDO ME PADI HUVI HAI.

usne sonche baghir Us boodhi khatoon ko naale se nikala aur sadak ke kinareh waqe ek ghar me usko leja kar waha ki awrato ko somp diya to unhone unko kapde pahnaye,khana khilaya,phir baad me poocha to wo dabe labo se kahne lagi ke mera ‘EK HI BETA HAI,USE AUR USKI BIVI KO MERE KHANSI KI AWAZ PASAND NAHI HAI.jiski wajas se unki neend mukammal nahi ho pati to usne jis ki wajah se raat me hi usne mujhe ghar se nikal diya aur lakar nale me phenk diya jab ke mai,kayi baar kahti rahi ke  “BETA SADAK PE PHEN DE MAGAR NAALE ME NA PHENK !!!!!!

phir bhi usne mujhe naale me hi phenk diya…jaise hi waha ke logo ne suna to usko pakad ker maarne lage to MAA kahne lagi” MERE BACCHE KO MAT MARO USE CHOT LAG JAYEGI..!!!

ye hoti hai,maa ki mohabbat jisko bayan bhi nahi kiya jasakta hai,aur ayse kayi waqiyaat horahe hai,uski wajah deeni taleemat se doori aur dunya se nazdeeki..to hame chahiye ke maa ke darjeh ko samjhe unki khidmat kare,aur un se mohabbat se pehs aane me hi hamari bhalayi hai.

You might also like