DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER:SALAH, DAY :167,

Hazrat Abdullah bin Basr(raziyallahuanhu) se rivayat hai kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Meri Ummat ke Sajdah karne Aaza(Peshani,Ghutne,Haath,Pair,Naak) aur Wazoo ke Aaza Chamakte Rahenge.
(Vol/1,,No:610),
Dars:Subhanallah,Unhi Aaza ki Roushni me Bandah Qiyamat ke Andheri wa mushkil Manzilo ko Aasani se Tay karlega,
☆☆ Sajdeh bhi Ayse Khushoo se hone chahiye ke Bargahe Ilahi me maqbool hojaye.
●● wazoo bhi poore itminaan ke saath wazoo ki Masnoon Duawo ka bhi khayal karna chahiye..
■■ Jab Is Amal ka Bandeh ke Badani Aaza per ye Asar hoga to Soncho Nama e Aamal me kitna Sawab hoga ..!!

You might also like