NAMAZO ME QIRAT JAHRI WA SIRRI KI WAJAH ?!

Sawal : Assalamualikum, mufti saheb,
kya wajah hai ki hum fajr,magrib,aur isha mai jahar say baliki duhr aur asr mai siri say qirat kartay hai?
(umaid ur rahman),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Kutab e tafaseer me uski badi tafseel ayi hai,jiska khuslasa ye hai,ke ibtedaye islam me jab din me jahri qirat ki jarah thi to kuffaro ko ibadat ka pata chal raha tha to wo satane keliye hazir hojate awr namaz me khalal paida karte,awr aksar ZOHAR WA ASAR ki Namazo me huva karta tha,kyu ke ye Namaze din me huva karti hai,awr Maghrib ,isha wa fajar me aysa nahi tha,to Allah tala ne hukm farmaya : APNI PURI NAMAZ ME QIRAT NA JAHR HO AWR NAHI SIRR(AHISTAH) BALKE UN DONO KE DARMIYAN ME QIRAT HO”
(AL QURAN,VOL/15,Surah,Bani israyeel),
lehaza 2 namazo me qirat sirri awr 3 namazo me jahri rakh di gayi,

NOTE: Eidain ki Namaze DIn me hoti hai,awr us din qirat awaz se honi wajah ye hai,ke us din saare log jama hote hai,awr fitrati wa sharee 2 khushiya hoti hai,to uske shukr ke izhaar awr momino ke ittehad ke iftekhar ki wazahat me qirat jahri ka hukm hai

plz,,read and share it,

You might also like