MARHOOM KI JANIB SE QURBANI ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Kiya jin logo ka inteqal hogaya hai,unki janib se qurbani dene ka kiya hukm hai ?
(Ahmadi Begum),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Jo Musalman zindah aur Sahib e Nisab ho to ayse Shaks per Qurbani Dena “WAJIB” hai,aur Jo Marhoom(jinka inteqal hojaye) hai,unki Janib Se Qurbani dena Wajib Nahi hai,
Haan,agar koi Marhoom ki Janib Se Bataur e sawab qurbani dene chahe to uski Ijazat bhi hai,lekin ye wajib ke taur per Nahi Sawab ke taur per Iska matlam marhoom ki janib se qurbani de to hojati hai,aur agar koi Na de to wo Gunahgar bhi Nahi hota hai.

Plz..Share it to All,& for more islamic Services Visit our web site.

You might also like