DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER: SALAH, DAY:165,

Hazrat K’ab bin Ujrah apne Walid se aur wo apne Dada (raziyallahuanhum) se rivayat kiya kaha : Nabi e Akram(sallalahualihwasallam) ne Masjid e Bani Ash Hal me Namaz e Maghrib ada farmaye,to Saare log Namaz ke baad Sunnate padhne lage to Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya: ye sunnate tum apne Ghar me padha karo.

(Vol/1,H,NO :607),
Dars : Piyare Momino,Jumah ki rahmate aur barkate hamare saare musalman bhai aur bahno ko ALLAH naseeb farmaye,,
to is hadees e paak me Sunnat aur Nafil Namaz ke aadab bataye gaye hai,Sunnat aur Nafil Namaz ghar me padhna sunnat hai,aur wo is liye ke ek doosri hadees e paak me aya hai,ke apne gharo ko qabrastan mat bana lo tu uski tabeer ulama ne ye bayan ki hai,ke agar ghar me koi (Nawuzubillah) Namaz na padhe to kam se kam sunnate to ghar me padhle ke kahi ghar Namaziyo ke na hone ki wajah se qabrastan ki tarah na hojaye,
aur wazeh rahe ke ye hukm un logo keliye hai,jo poore yaqeen ke saath ghar jakar namaz padhte ho,warna jinhe ghar pahonchne se pahle hi bhatakne ka darr hoto wo masjid me hi sunnate wa nafil padh lena ziyadah behter hai.
Aye Allah Hame Bhatakne aur bahekne se mahfooz farma,,Maula..!

plz,,Share it to All,and For more islamic services Visit our web site..anwaarulislam,com

You might also like