ILM KE BAGHAIR BAHES KA ANJAM

Allah ne Bandeh ko Ek Azeem Nemat Aqal di hai,is aqal ke bhi kayi Goshe hote hai,aur wo mukhtalif tareeqo se kaam karti hai,aur Jus ki Aqal me Deeni ilm ajaye to Samjho wo Allah ke paas pasandeedah Bamdah hai,isilye Hadees e paak me aya hai,ke jis bandeh ke saath Allah Bhalayi ka iradah karta hai,to Usko Deen ki samajh ata karta hai,
(Mishkatul Masabeeh,Vol/1,Pg/4)
aur samajh Jis ko Hasil Hoti hai,unko ” ULAMA..ALIM “ke Naam se jante hai,aur ye ilm har kisi ko ata Nahi hota hai,aur jinko Ata Nahi hota unko kahagaya ke jo baat tumhe Malum Na ho wo ilm walo se sawal karke Malum karlo
(Al Quran,Vol/17)
Lekin Aaj Hamare Musalmano ka haal ye hogaya hai,ke College ki Canteen se lekar Mohalle ke Chavrasteh tak…..!!! Deeni Baate Nahi horahi hai,balke Deeni Ahkamaat pe Bahes horahi hai,Jab ke ye Kaam inka nahi hai,Warna ye Unkeliye Sahi nahi hai,Deen e islam Aasan hai,Usko Ulama se Seekho Bahea Na karo agar Ulama me ikhtelaf hai,to wo un per chid do kyu Ke Ulama e Haqq ka Masaayil me Ikhtelaf Ummat keliye Bayise Rahmat hota hai,aur Awam ka deeni moamlaat me Bahes karna unkeliye “Halakat” hai,jaisa ke hadees me aya hai :
Hazrat Abdullah ibne Amr(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
mai Rasoolullah (sallallahualihiwasallam) ke saath Hijrat (makkah se madeenah gaya) kiya, Ek Din Rasoolullah (sallallahualihiwasallam) ne dekha ke 2 aadmi Quran ki 1 ayat ke baare me jhagda kar rahe hai,to hamne dekha Aap ke chahreh per ghazab dikhayi de raha tah,phir aapne farmaya : Tum se pahle ke log isi tarah ikhtelaaf karne ki wajah se Halak hogaye hai,!!!
(Sahi Muslim,Vol/1,pg/9..15)
Us zamaneh ke ek din ka waqiyah aaj Har din hota jaraha hai,
ke Logo ke paas quran wa hadees ka ilm to Nahi hota hai,magar apas me bahes karne lagte hai,ke Quran me ye aya hai,Bukhari me wo aya hai,
matlb kuch bhi sahi maloom nahi rahta hai,magr Bahes me to aage hote hai,
aysa karna sahi nahi hai,
lehaza kisi maslah ke bare me shakk ya ilm na hoto usme bahes ke bajaye kisi Aalime deen se uske bare me maloom karlena chahiye jis se ham bahes se bhi bachenge,awr apasi ranjisho se bhi mahfooz rahenge,,,
Maaf karna mere Bahiyo Ladna Chod de Apas me MOHABBAT ko Aam kare..

You might also like