DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :176,

Hazrat Zaid Bin Sabit(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Mani dekha ke Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne jab Hajj e Baitullah ka iradah farmaya to Ahram pahen ne se pahle Ghusl farmaya.

(Vol/1,H,No :839),
Dars :To Momino Ulama e Kiran ne is hadees e paak ki roushni me Farmaya ke ,Ahram Hajj,ka ho ya Umrah ka us ke pahene ne Se Pahle Ghuls karna “SUNNAT” hai,
Agar koi pahle se hi Paak ho to usko ab ghusl karna Wajib Nahi hai,Haan agar phir bhi wo Ghusl karle to Koi Haraj Nahi hai,usko Sunnat ka sawab insha Allah zaroor milega,
●● Ahram Pahen ne ke Baad 2 Rakaat Nafil ki Niyyat se padhle Bataur e Shukrana to acha rahega,take uske Aage Ke Marahel me Roohani kaifiyat paida hojaye,aur Dunya Se tawajjuh hat jaye !!.
Phir Talbiyah padhte huve Aage Badhe…

You might also like