DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 931/ HADEES NO :2890

Hazrat Sayyiduna Jareer Ibne Abdullah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO koi Khair ka Tareeqah Nikala ho,Phir us Khair ke Tareeqeh per Doosro log bhi ikhtiyar kiye ho to us Shaks ko Jo ye tareeqah Nikala tha us per Amal karne wale ke Barabar sawab diya jayega ,Phir un ke Sawab me se koi Kami Nahi ki jayegi,

Phir Agar koi Sharr(Burayi) ka tareeqah Nikala ho aur Doosre log us Burayi ko ikhtiyar karliye ho to Us Amal karne walo aur ye Tareeqah Nikalne wale dojo ko uska Gunah diya jayega Phir unke Gunaho me koi Kami Nahi ki jayegi.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2890),

Dars : Insaan Apne ILM,Akhlaaq,Maal etc..se Is Faani Dunya me Bhalayi wa khair ke tareeqo ko Bata kar ya Nikal kar jaye to wo us keliye kamiyabi wa Ajr ka zariyah Banenge,

ILM Pahlaye,Maal Ache Kaamo me Lagaye aur Sab ke Saath Akhlaaq se pesh aye to Aysa Bandah Sab se pahle Apne Rabb ke Paas”MAHBOOB WA MAQBOOL” hoga ,Phir Saari Makhlooq me usko ye Darjah diya jayega..Allahu Akber Kabeera.,

●○ Burayi ka Tareeqah Nikalne wale khud bhi Be Chain wa Be sukoon hote hain,Phir wo Doosro ko bhi Apni is Be chaini wali Halat me Dhakel dete hai,lehaza Burayi se khud bhi Door rahe aur doosro ko bhi warna Burayi wa sharr ke tareeqeh nikalne wale Shaitan ke Dost ban jate hain,Phir unka Hashar bhi Bohat Bura wa Dardnaak hoga.

Allah hame Burayi se Bachne Wala Banaye..Ameen YA Rabbi.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR, TELANGANA)

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like