DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 932/ HADEES NO :2891

Hazrat Sayyiduna Irbaz Bin Saariyah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: Ek Din Baad Namaz e Fajar RASOOLULLAH ﷺ ne Ek Baleegh Naseehat farmayi jiski wajah se Aankho se Aansu Jari hogaye aur Dil me Khauff Taari hogaya,to Ek shaks khade hokar kahne lage ke ya Rasoolullah sallallahualihiwasallam ye to kisi Wada karne wale ki Naseehat hai ?! To aap Hume kiya Naseehat farmayenge ? To aapne farmaya:

Mai Tumhe Allah ki ita’at,Taiwan aur Achi Baat Sun ne ki Wasiyyat karta hoon,jabke Tum me ka koi Habashi Ghulam Jo tumhare saath Zindagi guzarta hai,wo bhi Bohat Ikhtelaf ko dekhega,Tum Deen me Nayi Nayi Baate Nikalne se Bacho,kyu ke wo “GUMRAHI” hai,Jab Tum me ka koi Ayi Baate Dekhe to wo Meri Sunnat aur Khulafa e Rashideen wa Hidayat Yaaftah Rizwanullahi alihimajmayeen ki Sunnato ko Pakadlo aur usko Apn Daanto se Thaam lo.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2891),

Dars : Eiman ki punji Allah ki ita’at aur taqwa hai,Jo in dono cheezo ko apnayega to Kamiyab rahega,Burayiyo se Bachega aur Akhirat ko sanwar lega,Aur Shaitan ke Sharr aur waswaso se mahfooz rahega,

■□ Achi Baato ko sun na bhi ibadat hai,Quran,Hadees aur Naate etc..Deeni Baato ko Sune jis se Dil Saaf aur Eiman ko quwwat milti hai,Aur Chughalkhori,aur Gheebat jaisi Buri Baato se bhi mahfoo rahenge,

●○ Deen me Nayi Baato ko Nikalne ka Matlab Jo Nayi Baate Deen wa Islam ke khilaf ho,aur wo Deen me Bigad wa fasad paida karti ho to aysi Baato ko Bid’at kahte hain,jo Gumrahi hai,

Haan,Jo Baat Deen me Mazeed Mazbooti wa istehkaam paida karti ho to unko karna Acha hai,jisko ” BID’AT E HASANAH” kahte hai,usko Shareeat  ijazat hai.

☆☆ Jab Dunya me Gunrahi Aam hone lage to us waqt Anee Eiman ki Hifazat Farz hai,to Us waqt Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki Sunnat aur Khulafa e Rashideen wa Sahaba e Kiram ki Sunnato ko thaam lene me hi Hifazat aur Jahannam se Najat hai,warna Eiman aur Akhirat Done ki tabahi hogi aur Na Murad bhi…!.

Allah Hame Deen e islam ko Kamil Andaz me thaamne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA. ),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like