DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 929/ HADEES NO :2887

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibne Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO Bhi Jaan(insaan) Zulm ki wajah se Qatl ki jaye to usme Hissah Ibne Aadam(Qabil) ka bhi hota hai,wo isliye kyu ke Wahi shaks tha Jo Qatl ka tareeqah Eejad kiya tha.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2887),

Dars : JAB Hazrat Adam Alaihissalam ke Dono Beto Habil aur Qabil ki ladai unke Nikah ke Bare me huvi thi to Qabil ne Habil ko Qatl kar dala,Phir unko Ek Parindeh ki Rahnumayi ki zariyah Zameen me Dafan kardiya waqiya taveel hai….to ye pahla shaks tha to Insaan ko Qatl kiya tha jiske sabab Insaano ko Qatl ke baare me maloom huva lehaza ye shaks Qatl ke tareeqeh ko eijad karne wala huva us sabab Qiyamat tak Jo Jo bhi doosro ko Zulman Qatl karenge to us Burayi ka Hissah Qabeel ke Namay e Aamal me bhi likha jayega..!!.

■□ Dunya me Neki aur Khair khahi ka sabab Ban Na chahiye kyu ke Hum is dunya se Jaane ke Baad bhi us Neki ajr Qabar wa hashar me milega,is tarah Burayi ka Anjaam hai.

Allah hame Neki ka zariyah banaye aur Burayi se mahfooz rakhe..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like