DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 930/ HADEES NO :2889

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha :RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO shaks Hidayat ki taraf Bulata hai,Phir wo Shaks Hidayat ko itteba karta hai,to Allah is Bandeh ko Us Hidayat ka Ajr ata karta hai,Phir un dono ke Ajr me se kisi ke Ajr me Kami Nahi karta hai,

As Jo Shaks kisi ko Gumrahi ki taraf Bulata hai,Phir wo shaks Gumrahi per Chalta hai,to Us shaks ko bhi uska Gumah milega,Phir un dono ke Gunaho Mr Kami Nahi ki jayegi.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2889),

Dars : Hidayat ki Dawat dena ye Ambiya e Kiram ki Sunnat aur Amal hai,Aur Hidayat dena ye Allah ki Qudrat me hai,Phir Jab bandah kisi doosre ko Hidayat ki Dawat deta hai,Phir jisko dawat di gayi wo Us per Amal karta hai,to Allah is dawat dene wale bandeh ko us doosre Bandeh ki hidayat ki itteba karne ka bhi sawab wa ajr diya jayega,Phir Allah un dono ke ajr me Kami bhi Nahi karta hai,kyu ke Allah ke khazano me Kami Nahi hai,aur ye Allah ka fazal wa Karam hai,

¤¤ Phir Jo Bandah Burayi wa Gumrahi ki dawat dega ya uske Asbaab paida karega to un dono ko uska Gunahgar qarar diya jayega Phir unke Gunaho me Kami Nahi hogi..!!.

Allah hame Sahi Raasteh per Qayim rakhe..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

 

You might also like