DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPER : JANAZAH, DAY :198,

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,

Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab kisi Momin ko Koi Takleef pahonchti hai,to Allah us ek takleef ke Badleh uskO ” EK NEKI” ata karta hai,aur “EK GUNAH”  Maaf kardeta hai,

(Vol/1,H,No :980),

Dars : Allahu Akber Kabeera…..

Dekha momino Allah bhi apne Bando per kitna Maherban hai,ke Apne Bandeh ki takleef ko bardasht Nahi karsakta hai,kyu ke koi Maa Apne bacho ko Takleef ki Halat me Nahi dekh sakti hai,to Allah jo saare Aalamo ko Paida karne wala hai,aur wo bhi to 70 Mavo se ziyadah apne Bando se Mohabbat wa Shafaqqat ka moamlah karta hai,to wo kise bandeh ki takleef ko dekh sakta hai,isliye Bandeh ko takleef pahonchne ki wajah se use Neki bhi deta hai,aur Gunah bhi Maaf karta hai,

To Bandeh ko bhi chahiye ke wo Allah ki Rahmath ko samjhne ki koshish kare aur beemari aur Museebat ki Halat me Allah ki SHIKAYAT nahi Balke SHUKR bajalaye to Inshallah wo Takleef…Rahat me,aur Museebat…Khushi Me badal jayegi…insha Allah.

Plz..Share it to All,for more visit our web site.

anwaarulislam,com

You might also like