ILM AUR ULAMA KI BE ADABI AUR USKA ANJAM

Allah ne insan ko paida kiya aur uski Hidayat aur Rahnumayi keliye Ambiya e Kiram(alihimussalam) aur Kitabo ko Nazil farmaya,phir un ke baad saari Insaniyat ki hidayat ke liye Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ko hadi banakar bheja,phir aap ne kaha Allah ki kitab ko thame rakho aur Farmaya ; ULAMA E KIRAM AMBIYA E KIRAM KE WARIS HOTE HAI,..
yani Aapka saari Ummat ko hukm huva ke Ulama ke bataye huve raasto per chale aur unki tazeem baja laye,,kyu ke Ulama e kiram ke saath Allah ki Bhalayi aur khair khahi shamil hoti hai,jaisa ke hadees me aya hai,ke,,Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya :Jab Allah kisi ke saath bhalayi ka IRADAH karta hai,to usko DEEN KA ILM ata karta hai.
(jamiut tirmizi,vol/2,H,No :2857),
aur ek maqam per farmaya ke: JO ILM E DEEN KI TALEEM HASIL KARNE KE IRADEH SE NIKALTA HAI,TO ALLAH USKE LIYE JANNAT KA RAASTAH AASAN KARDETA HAI.
(Jamiut Tirmizi,Vol/2,2058),
Her Musalman Mard ,Aurat ,Bache,Bachi,Boodhe aur Boodhiyo per bhi Alim,Hafiz,Aur Deeni Taleem Hasil karne walo ki Tazeem karna”WAJIB” hai,kyu ke unke Darajo aur martabeh ke bare ME Quran me aya hai,ke Allah tum me se Ahle ilm ke Darajat ko BULAND farmaya hai,(surah mujajdalah,No :11)
lehaza Hame chahiye ke Ulama ki tazeem kare,,yaad rahe ke unki Tazeem Musalman Nahi to kiya Ghair muslim karega…????!!!!!
AUR ULAMA WA ILM KI BEHURMATI KUFR hai,
kyu ke Hadees me aya hai,ILM WA ULAMA KI IHANAT KUFR hai,
(Aasarus Sunan),
ab rahi baat ye saheb ka Ulama aur Madaris ke bare me aysa kahna bilkul Ghalat Baat,Jahalat ka izhar,aur Allah ke Azab ko Dawat dena hai,
ek ya dono ke bura hone se Poore ke pooro Bure Nahi hojate hai,aur sab per ye ilzam lagana Islami taleemat ke khilaf hai,
Inka zameen per Bojh hona…..?
Ulama aur Madarse wale zameen per bojh kise hosakte hai,,shayad ye Ehsan faramosh log ye bhool rahe honge ke wo KALIMAH AUR QURAN bhi ek madarseh wale se hi padhe the,,Namaz,Rozah,Zakat aur Hajje gharz ke saari zindagi unki hi taleemaat ke peshe nazar guzar di,,Paidayish se lekar aur had to ye ke Mar bhi jaye to Namaz e Janazah padhane wala bhi to ek Alim aur madarseh wala hi hota hai,……
Madarseh wala kabhi apne liye kuch nahi maangta hai,balke madarseh me padhne wale Ghareeb wa mohtab bacho keliye Haath utha kar apne qaum se maangta hai,aur uski is qurbani ki to tazeem karo,,kam se kam ek din to madarsah chalake batavo ….
to chahiye ke ye jo ulama ki shan me gustajhi kare to,wo TAUBAH KARE aur Ulama se Maafi mange warna yaad rahe ke Bohat jald hi ALLAH KA AZAB us per Nazil hoga,,,aur ayse logo ki Maut is Halat me aati hai,ke unke paas dunya ki dawlat saari ki saari Khatam hojati hai,aur unka koi sahara Nahi hota hai,sab log usko chod deta hai,wo zaleel hojata hai.aur aakhr kaar KALIMAH bhi Naseeb Nahi hota hai,,
BA ADAB BA NASEEB
BE ADAB BE NASEEB…

You might also like