DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 235,

Hazrat Ali Bin Abu Talib(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Ali 3 Kaam me Kabhi Takheer Mat karo,
1) Jab Waqt Hojaye to “NAMAZ” me Takheer(deri) Na Karo,
2) Jab Janazah Hazir hojaye to Namaz e Janazah me Takheer Mat Karo,
3) Jab Munasib wa Barabari wala Rishtah Hazir hojaye to Bewa Aurat ke Nikah me Takheer Mat Karo.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No:1096),
Dars: Ye Teen kaam ayse hai,ke isme Ya to khud hi takheer karte hai,ya koi doosre Takheer karne ki koshish karte hai,aur to aur Shaitan to hai,hi jo Bahkane aur Takheer karake Chudwane me saath hi rahta hai…isliye in kaamo me takheer Nahi karni chahiye…
■□ Namaz…Dunya me kitna bhi Bada kaam kyu na karo lekin Pahle Namaz ho to hi wo Bada kaam Bada wa Umdah Banta hai,Warna us kaam ki Allah ke Paas koi Ahmiyyat Nahi hoti hai,
●● Namaz e Janazah…Baaz log 8 Din(One Week) tak Mayyit ko kisi Rishtedar ke intezar me rakhte hain,aur Kahte hai..” AKHIRI BAAR SOORAT DEKHNA HAI ” etc..Mere Dosto Bura Mat Samjhiye Apno se Mohabbat yaqeenan hoti hai,Magar Apno ko Takleef Na dena bhi to Mohabbat hi hai,kyu ke agar Mayyit ko 8 din tak rakhenge to Us Mayyit ko Takleef hoti hai,jab ke Mayyit Soorat ko Nahi”RAHAT” ko Chahti hai,aur wo Rahat wa Aafiyat Bandeh ki Dua se Naseeb hoti hai,lehaza Ziyadah der Na kare to Behter hai,
Haan,Sakht zaroorat ho to 1 ya 2 din Intezar karle to koi baat Nahi,aur agar Mayyit ki Tafteesh(investigation) etc..ho to zaroorat ke lehaz se Takheer karne ki ijazat hai,Warna Takheer karna Sahi Nahi hai,
■■ Bewa ladki ho ya Ghair Shadi Shudah Jawan Ladki jab inke liye Sahi wa Munasib rishtah wa paigham aaye to takheer Na kare jab ke Aaj kal log kuch Had se Ziyadah Ache Rishteh ke intezar me Jawan ladkiyo ko gharo me hi Bitha kar rakh rahe hai,jo ke Sahi Nahi hai,
Walidain ko Samajhna Chahiye ke Ladke ki Zindagi to Nikah ke Baad hi Mukammal hoti hai,to Phir wo Nikah se Pahle hi kise “MUKAMMAL SET” hosakta hai,Nikah ke Baad Shohar wa Bivi Mohabbat wa Qina’at,Se kaam lete huve Apni Mehnat se Ghar Basane ki koshish karte hai,to Tab hi ye Joda Dil wo Jaan aur Maal se “MOKAMMAL SET” hota hai,aur isi me dono ki Kaamil Khushi hoti hai,is Baat ko Walidain Samjhe to Jawan Ladkiya Gharo me Nahi baithengi…..
Bewa se Nikah karne ko log Ayb samjhne lage hain,Jo ke Sahi nahi hai,
Yaad rahe Bewa Aurato se Nikah karna Sunnnat hai,jis se us Aurat ke Izzat ki Hifazat aur uski Kifalat dono hote hai.

You might also like