DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 246,

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha Mera Nikah Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ke saath Shawwal ke Mahineh(Jo Mahinah Ramazan ke Baad aata hai) me huva hai,aur Shawwal me hi maine Shadi Shudah Zindagi me Dakhil huvi,phir Kaha mujhe Har Ladki ka Nikah Shawwal ke Mahine me Pasand hai.
(Vol/1,H,No : 1116),
Dars :Hadees me Shawwal ke Mahineh me Nikah ki Pasand karna ye Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) ki pasand hai,aur ye pasand karna bhi Jayiz hai,isko Nek Faal kahte hai,
Nek Faal ke Meaning ye hai,ke Kisi Cheez se Achi Baat Ya Ache Kaam ki Umeed karna,aur Nek Faal islam me jayiz hai,
Magar B’ad Faal yani kisi cheez se Burayi ki Umeed rakhna jaise Billi(cat..etc..) saamne se Guzre to museebate aur Kaam Na hone Ko kahna ye sab B’ad Faal me se hai,aur islam me iski Ijazat Nahi hai,
Lehaza Shawwal,Safar ,aur Moharram me bhi Nikah karsakte hain,aur Saal ke kisi bhi mahineh me aur kisi bhi din Nikah karsakte hai,usme kisi tarah ki koi rok tok Nahi hai.

Plz..Share it to All,for more islamic services visit our web site..anwaarulislam,com.

You might also like