DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 251,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihwasallam) ne farmaya :Har wo Khutbah Jisme Allah Ki Hamd aur Tareef Na ho to Wo Khutbah Na Mukammal hota hai.
(Vol/1,H,No :1130),
Dars :Is Hadees e paak me Tamam khutbo ke Saath Khutbah e Nikah ki taraf bhi isharah hai,ke Khutbah e Nikah Sunnat hai,iske Ehtemam se Nikah aur Nikah ki Mahfil me Barkat Nazil hoti hai,
■■ Aadabe Khutbah E Nikah : Khamoosh Khutbah ko sunna hai,Baate karne se Be Adabi lazim aati hai,
●● Koi Muttaqi wa Parhezgar Shaks Khutbah padhaye to ziyadah behter hoga,
♢♢ Wazu ki Halat me Hoto behter warna Koi Haraj Nahi hai,
●● Khutbeh ke waqt Dulha aur Dulhan Dono hazir ho to behter hai,agar Wo Na ho ya Masjid me Nikah ki mahfil ho to unke Wali ya Wakeel hazir rahe,etc….
Ye isliye bataya gaya hai,ke Ek muslaman ka Nikah Mislali huva karta hai,Aur Aysa hi hona chahiye,in Cheezo ko Chod kar Patakho,Nachne(Dancing) aur Bajane me baaz log lage rahte hai,jo ke sahi Nahi hai.
Allah Nek Taufeeq de Ameen.

Plz…Share it to All,For more Islamic services Visit our web site :anwaarulislam,com.

You might also like