DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : LIBAS , DAY : 312,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ke paas aysi Chandi ki Anghoti(silver Ring) thi jisme Habashi Nageenah bana huva tha.
(Vol/2,H,No :11843),
Dars :Mardo keliye Chandi ki Anghoti pahen ne ki ijazat hai,Yani Chandi ki Anghoti ka pahen na Sunnat bhi hai,aur us anghoti me Nageenah kisi bhi Pather(stone) ka ho ya Chandi hi ka ho to uski ijazat hai,
■■ Anghoti Seedhe Haath(Right Hand) me Lagana hai,aur Nageeneh ko Ungliyo ke ander karna behter hai,warna Baher ki janib bhi ho to koi Haraj Nahi hai,
●● Chandi ki Anghoti ki miqdar : Silver Ring ki miqdar Baaz Ulama ne 2.1/2 Masha aur Baaz ulama ne 3.1/2 Masha bayan kiye hai,aur Baaz Ulama ne Ek Normal Anghoti keliye jitni Chandi ki miqdar ki zaroorat hoti ho to uski ijazat diye hai,
☆☆ Ek Haath me Ek Hi Anghoti Pahen na Sunnat hai,ek Haath me 1 se ziyadah Anghoti lagana Sunnat se Sabit nahi hai,aur isme israaf bhi hai,
♢♢ Anghoti ka Nageenah : Anghoti ka Jo Kankar hota hai,usko Nageenah bhi kahte hai,to Baaz log Baaz Pathero per kuch ziyadah hi Aqeedah rakh lete hai,jaise Tiger Stone,Neelam Stone etc etc.. to sab se pahle ye Baat zahen me rakh lena chahiye ke koi Patther Taqdeer ko Nahi badal sakta hai,kyu ke Taqdeer me jo likha gaya hai,wo Allah ke Hukm se hai, lehaza jo Asar Patther me hai,Bus wo patther ki taqat Nahi hai,Balke Pathher me jo kuch Asar hota hai,Wo Allah ka ata kiya huva hai,
●● Anghoti Lagane se Museebato ka door hona , exam me paas hona,Maal Ka milna,Achi Job Ka Hasil karna,etc etc wale khayalaat wa Aqeedah rakh kar Anghoti lagana Eiman wa Islami taleemat ke khilaf hai,Kyu Khair wa Bhalayi Sharr wa Museebat Sab Allah hi ke Qudrat me hai.
Allah hame Kamil Eiman wa Yaqeen ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic Services ….anwaarulislam,com.

You might also like