DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 377,

Hazrat Abdur Rahman bin Abu Bakrah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Kiya Mian tumhe Kabeerah Gunaho ke Bare me Na Batado jis se tum bach sako ?
To Sahaba e kiram
(rizwanullahialihimajmayin) ne arz kiya Zaroor Batayiye Ya Rasoolallah
(sallallahualihiwasallam) to aapne farmaya :Allah ke Saath kisi ko Shareek karna,Walidain ki Na Farmani karna,aur Jhooti Qasme Khana kabeerah gunaho me se hai, is Baat ko aapne 3 Baar farmaye.
(Vol/2,Hadees No :2023),
Dars :Allah ke Saath Shirk karna : Allah ki Qadrato aur Milkiyat me Makhlooq me se kisi ko Allah ke Barabar Qudrat rakhne wala samjhna Shirk kahlata hai,
Haan,Jo Qudrate Makhlooq me se kisi ko Allah ki ata ki huvi hai,uska iqrar Shirk Nahi kahlata hai,Jaise Farishto ki Qudrat,Ambiya e Kiram ke Mojize aur Awliya Allah ki Karamate ye sab Allah ki di huvi qudrate hoti hai,inka Iqrar Shirk Nahi kahlata hai,Balke Kamal e Eiman kahlata hai,
●● Walidain Ki Na Farmani : Maa Baap ki Baat Na Maan na aur unko Zahni,Qalbi,Amali aur Zubani taur per Takleef dena bhi Na farmani me se hota hai,aysa karna Kabeerah Gunah hai,jiske Sabab Marne se Pahle Kalimah bhi Naseeb Nahi hota hai…!!!!aur Dunya ke saath aakhirat bhi bigad jati hai,
■■ Jhooti Qasam : Aaj kal Har Choti Baat per Quran ko pakadne aur Sar pe Rakh kar qasam khalene ka Mahol bana huva hai,Allah sabko is se Mahfooz kare…kyu ke Agar koi Haq per ho aur Saamne wale ko yaqeen bhi dilana ho aur uske Alawah aur koi raastah bhi na ho to tab Qasam kha sakte hain,Taake Jhagde ko door karsake aur rishteh ko baaqi rakh sake warna Baghair Haq per rahe apni Waqti izzat ki hifazat keliye jhooti qasme khale to ayse Log Dunya aur Akhirat me Zaleel wa ruswa hote hain,
In 3 no ke alawah aur bhi kabeerah gunah hai,
Allah hame Shirk,Walidain ki Na farmani,aur Jhooti qasme khane se mahfooz farmaye..Ameen.

Plz..share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like