DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 413,Hadees No :2071,

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah Tumhare Baaz Bhayiyo ko Tumhare Haatho me Yani Khadim Banaya hai,to jikse Paas khadim ho to usko Chahiye ke Malik apne Khane me se Khadim ko bhi khilaye aur Apna libas usk pahnaye,aur uski Taqat se ziyadah kaam ki zimmahdari Na de,aur agar Kaam ziyadah ho to us kaam me apne Khadim ki Madad bhi kare.
(Vol/2,Hadees No :2071),
Dars : Ye hai,Deen e islam ki Musawaat wa Barabari ke Malik ko bhi ye hukm diya gaya ke Jo Malik khato wo apne Khadim(sarvent) ko bhi khilaye aur jo kapda pahne us tarah ka libas bhi unhe pahnaye Kabhi islam me Malik aur Khadim me farq Nahi kiya gaya hai,taake Malik me insaaniyat Baaqi rahe aur Khadim me Wafadari…
●● Aaj kal kayi Tanzeeme Labours ke Huqooq ke bare me ladte jhagadte rahti hain,Agar log islami taleemat per Amal karle to kaafi hai.
Allah hame khadim ki se Hamdardi wa shafaqqat se moamlah karnne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like