DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 429,Hadees No :2088,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Sakhi Bandah (Apne Maal ko Sahi Maqam pe Kharch karne wala) Allah ke,Jannat ke aur Logo ke Qareeb hota hai,Aur Wo Jahannam Se Door hota hai,Bakheel Bandah(Kanjoos) Allah se,Jannat se Aur Logo se Door hota hai,aur Wo Jahannam se Qareeb hota hai,Ek Jahil Sakhi Shaks Allah ke paas Ek Bakheel Ibadat karne wale Bandeh se bhi Behter hota hai.
(Vol/2,H,No :2088),
Dars : Bandah Maal ko Baghair Israaf kiye Kharch kare to Wo Allah ka Mahbub,Jannat ke Qareeb,aur logo me Azeez hota hai,to ek Maal hi hai,jisko Sahi Maqam pe Kharch kare to ye Fazilat Naseeb hogi,Warna Wo to Allah ki Rahmat aur Jannat se Door hojata hai,aur Logo me Zaleel hota hai,
●● Allah ke Paas Wahi Ibadat maqbool hoti hai,Jo Sakhawat ke saath ho Na ke Bakhalat ke Saath….
Allah hame Sakhawat ki Taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like