DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 430,Hadees No :2089,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 2 Cheeze Momin me Jama Nahi hosakti hain,
1) Bakhalat (Kanjoosi),
2) Bad Akhlaqi,
(Vol/2,H,No :2089),
Dars : Yani Jis Bandeh me Bakhalat aur Bad Akhlaqi hoti hai,to wo Kamil Momin Nahi hosakta hai,
●● Zaroorat e Zindagi per Apne aur apne Gharwalo per Kharch Na karne wala Bakheel kahlata hai,Aur Be Waqt wa zaroorat kharch karne wala Sakhi Nahi balke Israaf karne wala hota hai,lehaza Na Ziyadah kam aur Na hi ziyadah kaharch karna hai,Balke Medium Raasteh ko Apnana hai,
Haan,Jab Deen k Baat ajaye to Kharch karne me Sonchna Nahi hai,
■■ Bad Akhlaaqi Ka khatimah ki Bunyad Walidain Bacho ko apne Ghar me aur Teachers Class me Deeni wa Islami Mahol de warna Bohat Kam hi Bache Nek Akhlaaq wale honge…
Allah hame in 2 Buri Sifat se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like