DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 477,Hadees No :2161,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sadqah dene se Maal kam Nahi hojata hai,Balke Allah usme Mazeed Barkat ata karta hai,Maaf karne se Bandah Kamzor Nahi hojata hai,Balke Allah usko mazeed Izzat ata karta hai,aur Jo Bandah Allah keliye Jhuk jata hai,to Allah usko Aur Buland karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2161),
Dars :Dunya me Maal Badi Mehnat se hu Hasil hota hai,Bohat kam hote hain,Jinko wirasat me Ziyadah Maal milta hai,Ab Jo Maal Mehnat ka Ho ya Wirasat ka uski Hifazat ka Zariyah Na Bank hai,aur Na hi koi Khaas Maqam Balke uski Dayimi Hifazat ka wahid Hal wa ilaj….?
“ZAKAT WA SADWAH” hai,jis Bandeh ka Maal Mal ki Shakal me Dunya me Aur Nek Aamal ki Shakal me Akhirat me Mahfooz rah jata hai,jiski Barkate Bandah 2 jahan me Hasil karta hai,
●● Dunya ki Behtreen Dawlato me Sabse Behtreen Dawlat Maaf karna hai,kyu ke Maal se Bandeh ko Doosro per Taqat wa Saltanat milti hai,Magar iska Asar sirf Badan per hi hota hai,lekin Maaf karne se Doosro ke Dilo aur Badan dono per Salatanat mil jati hai,yani Maaf karna Maal se bhi Ziyadah Asar karne Wala Amal hai…
■■ Dunya me kisi bhi Maidan Kamiyabi hasil karna ho to Bandah apne Aapko Aajizi wa Inkisari ka paikar Bana le aur Tawazu ko apni khaas Sifat bana le to phir uske Na yaqeen karne wale Nateejeh Zahir hone lagenge..insha Allah.
Allah hame in Baato per Amal ki taufeeq Naseeb kare….Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like