DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 504,Hadees No :2206,

 

Hazrat Abu Khuzamah Apne Walid e Mohtaram se rivayat kiye unhone kaha (raziyallahuanhuma),Ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Jo Hum Jhad Phoonk karte hai,Dawa aur Parhez karte hai,to kiya wo Taqdeer se koi cheez ko door karte hai ?
To Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jhad Phoonk,Dawa aur Parhez se jo Cheeze door hoti hai,wo bhi Taqdeer me se hi hai.
(Vol/2,Hadees No :2206),
Dars : To Malum huva ke Quran wa Hadees ki Roushni me jo Roohani ilaj kiya jaye to uski ijazat hai,aur us se Shifa ka Hasil hona bhi taqdeer me se hi hai,
●● Yaad rahe ke jo Islami Taleemat ke khilaf ho aur jo Ghair Muslimo ke Buto aur Mata ke Naam per ilaj kiya jata ho to wo ilaj Islam me Haram hai,Wo Sakhti se Mana hai,is se Eiman bhi jane ka Darr hota hai,her musalman ko ye Na jayiz ilaj
Se bachna zaroori hai,
Allah hum sabko islami daireh me hi ilaj ki taufeeq naseeb kare..Ameen
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like