DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 505,Hadees No :2213,

 

Hazrat Abu Masood Ansari (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne : Kutte ki Qeemat lene,Baaghi Shaks ka Maher lene aur Kahin(Jadugar) ki Mithai(sweet) khane se mana farmaye hain.
(Vol/2,Hadees No :2213),
Dars : Pahle ki 2 cheezo ke Bare me is se pahle ke Darso me Tafseel se bayan kiya gaya hai,
●● Kahin ki Mithai : Kahin ke bare me kaha gaya hai,ke Wo Jini ki Madad se Ghaib ki Baato ko Jaan ne ki koshish karta hai,aur ye Aag ki Pooja bhi karte hai,aur kayi Baate inke baare me kahi jati hain,jo bhi ho iske ilm wa ilaj se Koi faidah Hasil Nahi hoga,ye Islami Taeemaat ke khilaf Apni Taqat istemal karte hai,Waqti faidah Bata kar Hamesha Ki Pareshaniyo me Phansa dete hai,ye Aksar ilaj me Mithai ko taqseem karte jabke us se koi faidah hasil nahi hoga..
■■ Aaj Kal Kayi Muslim Mard aur Aurate Ghairo ke Paas ilaj keliye jate hai,jo ke unke Eiman wa izzat ke Halakat ka sabab hoga..!!!
Allah sabko is se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like